Khane peene ke masnoon tareeke islam mai
How to eat food and drink water in Islam:
1 – Khana peena shuru karte waqt “Bismillah” parhna chahiye jesa ke ahadees mai ward hai.
2 – Ek din Nabi Kareem Peace Be Upon Him ne apne Sahaba R.A se farmaya jis waqt tum khane ko hath lagao to ye kalimat parho.
Dua ap image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma mundarja zel hai.
“Shuru karta hoon Allah ke naam par aur Allah ki barkat par.”
3 – Hazrat Ayesha R.A farmati hain ke Rasool Allah Peace Be Upon Him ne farmaya jab koi shakhs khana khane lage aur “Bismillah” kehna bhool jae to jab yaad ae to ye ye parh le.
“Bismillahi Au walahu Wa Aakhira” jis ka tarjuma mundarja zel hai.
“Allah ka naam leta hoon khane ke awwal bhi aur is ke aakhir bhi.”
masnoon duain,
islamic dua,
qurani duain,
dua islam