Khoon ki kami ka ilaj in urdu and hindi
Khoon ki kami ke nuskhe in urdu:
Nihayat pukhta aur shereen aam ka ras jo patla aur taza ho ek pao doodh gaaye ka taza, Adha pao khalis ghee chamcha ausat adrak ka tazaras ek chamach chae ka. sab ko khoob milakar aur phir aadhi chatank hal kar ke pi lia jae. Aam ka ras ahista ahista barhate rahen. Ek do mahine tak sirf yahi murakkab istemal mai rahe. Is ke siwa koi cheez giza mai na khai jae.
Fawaid:
Kami khoon ki shadeed se shadeed soorat ko bhi door karta hai, khoon bakasrat paida karta hai, laagharjism bhi kafi mota aur taqatwar hosakta hai. Jism ki khushki aur be ronaqi zardi aur zaaf zaail hojaega. Is se behter ilaj laghari shadeed ka milna mushkil hai.