Maah e Ramadan ki Fazilat o Ahmiyat
Ramadan ki Ehmiat Trimedhi aur Ibn e Maja mai:
Hazrat Abu Hurairah R.A se riwayat hai ke Rasool Allah Peace Be Upon Him ne irshad farmaya ke: “Jab Ramzan ki pehli raat hoti hai to shyateen aur sarkish jannat qaid kardiye jate hain aur dozakh ke saare darwaze band kardiye jate hain, Phir is ka koi darwaza khula nahi rehta aur jannat aur jannat ke tamam darwaze khol diye jate hain phir is ka koi darwaza band nahi rehta aur Ailan karen wala (farishta) ye Ailan karta hai ke, Aye Bhai ( yani naiki o sawab) ke talabgar! (Allah ki taraf) mutawajja hoja aur ae burai ka irada rakhne wale! burai se baaz aja kiun ke Allah logon ko aag se azad karta hai (yani Allah is maah e mubarak ke waseele mai bohot logon ko aag se azad karta hai is liye hosakta hai ke to bhi in logon mai shamil hojae) aur ye Ailan (Ramzan ki) har raat mai hota hai.
(Trimezi aur Ibn e Maja)
Ramzan ki ehmiyat aur fazilat