Maida ka halwa recipe in urdu
Maida ka halwa banane ka asaan tariqa :
Ingredients:
chini 2 cup
makhan 50 gram
dar chini powder hasb pasand
maida 2 cup
dudh 2 cup
badam piste hasb zarorat
Mehtod:
makhan 35 gram kisi daigchi main daal kar pighla len.phir maida daal den.aur achi tarha say bhon len.jab maida surkh mail ho jaye to badam piste daal kar achi tarha bhon len.ab ek dosri daigchi main dudh chini aur bacha howa makhan daal kar is ko mixture main is waqt tak ubalen ke chini pighal jaye aur phir is ko maida main daal kar is waqt tak bhonen ke dudh khusk ho jaye ab is ko kisi khubsurat si plate main nikaal kar tukron main kaat len.aur oper dar chini ka powder charak kar paish karen.jis waqt aap maida ko makhan main bhon rahi hon isi waqt aap dosri daigchi main dudh chini aur makhan ko ubalen ta ke donon chizen ek hi waqt main taiyar hon.
اجزاء
چینی 2 کپ
مکھن 50 گرام
دارچینی پاؤڈر حسب پسند
میدہ 2 کپ
دودھ 2 کپ
بادام پستے حسب ضرورت
ترکیب
مکھن 35 گرام کسی دیگچی میں ڈال کر پگھلا لیں .پھر میدہ ڈال دیں .اور اچھی طرح سے بھون لیں .جب میدہ سرخ مائل ہو جائے تو بادام پستے ڈال کر اچھی طرح بھون لیں .اب ایک دوسری دیگچی میں دودھ چینی اور بچا ہوا مکھن ڈال کر اس کو مکسچر میں اس وقت تک ابالیں کے چینی پگھل جائے اور پھر اس کو میدے میں ڈال کر اس وقت تک بھونیں کے دودھ خشک ہو جائے اب اس کو کسی خوبصورت سی پلیٹ میں نکال کر ٹکڑوں میں کاٹ لیں .اور اوپر دارچینی کا پاؤڈر چھڑک کر پیش کریں .جس وقت آپ میدہ کو مکھن میں بھون رہی ہوں اسی وقت آپ دوسری دیگچی میں دودھ چینی اور مکھن کو ابالیں تا کے دونوں چیزیں ایک ہی وقت میں تیار ہوں
maida ka halwa recipe in urdu,
maida halwa recipe pakistani,
maida halwa recipe in hindi,
Next Recipe : Beef pasanda recipe pakistani