Urdutotke provides you special Meethe Dahi Bade cooking recipe in Urdu and Roman Hindi. Urdu Totke is famous for cooking recipes in urdu and hindi. You can also check other recipes at our blog.
Ingredients:
Besan = 1 pao
Dahi = 3 pao
Cheeni = 3 tab sp
Oil = hasb-e-zarurat
Namak = hasb-e-zaiqa
Dryfruits = hasb-e-pasand
Khane ka soda = 1/4 tea sp
Method:
Besan men khane ka soda,namak aur thorha sa pani mila kar ghol len.aur adhe ghante ke liye chorh den.1/2 ghante ke baad oil ko garam kar ke us men choti choti pakorhiyan tal len.ek bowl men pani bhar ke rakh len aur pakorhiyon ko golden brown hone ke baad nikal kar pani se bhare bowl men daalte jaeyn.dahi men cheeni ko mila kar achi tarah phent len.jab pakorhiyan naram ho jaeyn to halke hath se daba kar pakorhiyon men se pani nikal len aur dahi men daal den.apni pasand ke meve is men daal sakte hen.