Orange Peels Benefits in Urdu and Hindi

orange ke chilke ke faude

Orange Peels Benefits in Urdu and Hindi

orange peel powder for skin whitening

Orange ke Chilke ke Fayde:

Kinu ke chilke ka powder karishmati powder hai kiun kay is ke istemal se jild mai qudrati chamak aur taazgi paida hoti hai. Keenu ke chilke ka powder ghar mai tayyar kar ke mehfooz karna bohot asan hai. Jab kinu ka mosam ae ap isko banakar rakhlen aur saara saal istemal kar sakte hain. Kiun ke ye khushk powder hota hai to is ke kharab hone ka bhi khadsha nahi hota. Keenu ke chilke ke beshumar faide hain jin ko hum nahi jaante.

Kinu ke chilke ka powder banana:

Kinu ke chilke ka powder banana mushkil nahi hai. Ap jab bhi kinu khaen is ke chilke mehfooz karlen aur ise 2 se 3 din tak dhoop mai rakhen. Yahan tak ke khushk hokar sakht hojaen. Ab isko pees kar powder banalen. Aur is powder ko kisi bottle mai mehfooz karlen.

how to use orange peel powder for fairness

Rang Gora Karne Ka Tariqa:

Kinu ke chilke ke powder ko dahi mai mix kar ke chehre par lagaen aur halke hathon se scrub karen. Phir 15 minute baad dholen. Ye jild se chiknai kam kar ke rangat nikharta hai.

Kya ap ke chehre par chhaaiyan ya kisi qism ke nishanat hain? In ke liye kinu ka chilka faida mand hai kiun ke is mai qudrati tor par bleach ki khususiyat paai jati hai.

Jismani Thakawat Door Karna:

Ghusal karte hue agar pani mai kinu ke chilke daal diye jaen to inki khushbu jismani thakawat door kar ke jild ko taazgi aur farhat ka ehsaas deti hai.

 

how to use orange peel powder for glowing skin

Chikni Jild Ka Ilaj:

Agar apki jild chikini aur masaam khule hain ya chehre par daagh dhabbe aur daane hain. In sab masail se nabard aazma hone ke liye kinu ke chilke ka powder bohot mufeed hai. Powder ko ande ki safedi aur leemu ka ras chand qatre mai mix kar ke 15 minutes chehre par laga rehne den aur phir dholen. Hafte mai ek baar istemal faida mand hai.

Daane Khatam Karne Ke Liye:

Jab chehre par gandagi ki waja se masaamat band hojate hain to daane ban jate hain jo chehre ki saari khoobsurti ko maand kardete hain. Daano ko khatam karne ke liye keenu ke powder ko pani mai milakar paste banalen aur ise chehre par lagaen aur 15 minute baad dholen is se daane bhi khatam hojaenge aur chehre ki chiknai bhi khatam hojaegi.

orange peel powder for acne scars

Jismani Soozish ka Ilaj:

Agar jism par koi keera kaat le ya kisi qism ka soozish hojae to zehreela asar khatam karne ke liye bhi kinu ka chilka mufeed hai.

Daanton ko Safed Karna:

Kinu ke chilke ka powder daanton se pehle dhabbe khatam kar ke in ko safed karne ka asaan aur sasta tariqa hai. Ap powder ko paste banakar ya powder ko daanton par malen, rozana istemal se daant safed hojaenge.

Barhti Umer ke Liye:

Kinu ke chilke ka powder aur haldi mai powder mix kar ke istemal karne se barhti umer ke asraat kam hote hain. Jild ki safai hoti hai aur daagh dhabbo ko bhi khatam karti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *