pearl millet(bajra) health benefits in urdu

pearl millet(bajra) health benefits in urdu 1

pearl millet(bajra) health benefits in urdu

pearl millet(bajra) health benefits in urdu

Qudrat ne pearl millet ke chote chote daanon men taqat aur sehat ka khzana chupaya hua he.jo ke hamari ghiza ka ek hissa he.pearl millet taseer men garam he.pearl millet ek aisa anaj he jo hamare jism ko bharpoor ghizayat aur taqat faraham karta he.pear millet ko aam tor par gharibon ka anaj bhi kaha jata he qk ameeron ke muqable men ghareeb log ise zyada shok se khate hen.qk ghareeb tabqa pear millet ki khoobiyon se achi tarah waqif hen.khas tor par mazdoor tabqa pearl millet ki roti kha kar kai kai ghante tak sakht mehnat aur mushakat ka kaam karte hen aur thakan bhi mehsoos nahi karte karte hen.gaon dehaat ke log pearl millet ko barhe shoq se apni khorak ka hissa banate hen.aur mukhtalif andaz se istemal karte hen.isi liye wo log hamesha sehat mand aur tandurust rehte hen.mahireen ka kehna he ke pearl millet boht asani se hazam ho jata he doosra anaj iska muqabla nahi kar sakta.pearl millet diabetes,alsar ki bimari aur aisabi kamzori men boht mufeed sabit hua he.pearl millet ke kam istemal se pet bhar jata he.isi liye wazan nahi barhta aur jism mutanasib rehta he.ye mede ki tezabiyat ko bhi door karta he aur dil ki bimari ko bhi door karta he aur dil ko mazboot banata he.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *