Problems and Solutions of Ramadan in Urdu and Hindi
Miswak ka Resha:
Agar miswak karte waqt is ka resha halaq mai dkhil hokar pet mai pohonch jae to roza fasid nahi hoga.
Masoorhon Ka Khoon:
Agar Masoorhon se khoon nikal kar halaq mai dakhil hojae to is ki 2 soorten hain. Agar thook khoon ke barabar hai ya zyada hai aur halaq mai khoon ka zaiqa mehsoos hojae to roza fasid hojaega aur khoon km ho to nahi hoga.
Lifafa Ka Gond:
Agar ziban se lifafa ka gondh chaat kar thook deta hai aur phir is ke baad thook nigal jata hai to roza fasid nahi hoga aur agar thooke bager nigalta hai to roza fasid hojaega.
Agar Batti ka dhuaan:
Agarbatti aur loban wagera jalakar apne pas rakh kar soonghta hai to is se roza fasid hojata hai lekin agar bilqasad soonghta nahi bal ke ikhtiar dakhil hojae to roza fasid na hoga lihaza jumma wagera mai masajid mai ramzan ke moqa par agarbatti wagera jalane se ahtaraz karna behtar hai. (Dar e Mukhtar)
Huqqa Beedhi ka Dhuwan:
Roza ki halat mai huqqa beedhi peene se roza fasid hojata hai qaza lazim hai kuffara nahi. (Imdad Al Mufatiyeen)
Mun Mai Dawa Rakhna:
Roza ki halat mai mun mai agar shiddat marz ki waja se dawa lagai jae to bila karahat jaiz hai aur bil zaroorat makroo hai.