Ramadan Mubarak ki barakat o fazeelat
Ramzan ki fazeelat Hadees Mai:
Ramzan Mubarak islami mahine ka nawan (9) mahina hai. Quran o Hadees mai Ramzan ko bohot ehmiyat hasil hai. Aur Ramzan Mubarak hi wo ba barkat mahina hai jis ka zikar Quran mai aya hai. Irshad Rabbani hai ke Quran Majeed Ramzan mai naazil kia gaya. (Al baqara : 185) is mahine mai ek raat (Laila tul Qadar) aisi raat hai jo hazaron raton se afzal raat hai. (Al Qadar : 3) Hazrat Salman R.A riwayat karte hain kay nabi kareem Peace Be Upon Him ne Shaban ki akhri tarikh ko bayan farmaya ke tumhare ooper ek mahina arha hai jo bara aur mubarak mahina hai.
Allah Ta’ala ne is maah mai roza farz farmaya hai aur is mai raat ke qayam ko sawab ki cheez banai. Jo shaks is mahine mai kisi naiki ke saath Allah ka Qarb haasil karle wo aisa hai jese ghair Ramzan mai farz ada kia hai aur jo shaks kisi farz ko ada kare wo aise hain jese ghair ramzan mai 70 farz ada kiye. Ye mahina logon ke saath gham khuwari karne ka hai. Is mahine mai momin ka rizq barha dia jata hai.