Ramzan Ke Masail Aur Masail Ka Hal

ramzan kay masail

Ramzan Ke Masail Aur Masail Ka Hal

Roza kay doran insan ko kahin masail ka dehan rakhna parta hai jis mai zyada tar inhen pata hi nahi hote jin mai chand mundarja zel hai.

Roza Mai Khoon Nikalwana

Rozay ki halat mai khoon nikalwane se roza faasid nahi hota aur agar aise za’af ka khatra hai kay roza ki taqat baqi na rahe to makroo hai. (Ahsan Al-Fatwa)

Roza Mai Dant Nikalwana

Bawaqt zaroorat dant nikalwana jaiz hai aur bila zaroorat makroo hai. (Ahsan Al-Fatwa)

Aurton ka Labon par Surkhi Lagana

Roza ki halat mai aurat labon par surkhi lagane se roza mai koi kharabi nahi ati hai. lekin agar mun jane ka khatra ho to makroo hai. (Ahsan Al-Fatwa)

Roze Ki Halat Mai Biwi Se Dillagi Karna

Roze ki halat mai apni biwi se bos o kinar hona aur sath letna aise admi ke liye bila karahat jaiz hai jis ko anzal ya humbistri ka khatra na ho. Lihaza boorhe admi ke liye bila karahat jaiz hai aur jawan ke liye makrooh e tehreemi hai jo apne nafs par qadir nahi hai. (Dar Mukhtar)

Khurooj e Mazi

Agar Biwi se Bos o Kinar hone mai sirf mazi ratobat nikle to is se roze mai koi kharabi nahi ati. (Ahsan Alfatwa)

Rozay Ki Halat Mai Humbistri Karna

Agar Roza mai biwi se baqaida humbistri nahi ki hai bal ke sirf bos o kinar hone ya saath letne ki waja se anzal hojae to roza faasid hojaega, baad mai ek roza qaza karna wajib hoga kuffara lazim nahi hoga aur agar baqaida hum bistri karli hai to qaza ke sath sath kuffara bhi wajib hoga. Lekin is din bhi khana peena jaiz na hoga. (Imdad Al Fatwa)

ramzan ke masail ka hal

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *