Ramzan Mai Roza Farz Hone Ki Waja
Ramzan ki fazilat aur is ki barkaat be shumar hai jis mai se ek roza hai.
Roza Ramadan Mai Farz Kiun Hai:
Maah e Ramzan mai roza rakhne ki waja khuda Ta’ala ne Quran kareem mai ye farmai hai.
Tarjuma:
“Yani maah e ramzan wo baa barkat mahina hai jis mai Quran Kareem nazil hua.”
Lihaza ye mahina barkaat ilahiya ke nuzool ka mojib (sabab) hai is liye is mai roza rakhne se asal garz jo LA ALLAKUM TATTAKOON mai mazkoora hai bawaja akmal (kaamil tareeqe se) hasil hojati hai.