Ramzan Mubarak ki fazilat aur ehmiyat
Ramadan ki Ahmiyat Quran o Hadees ki Roshni mai:
Allah Azzawajal ka crore ha crore ehsan ke us parwardigar ne hamen ek baar phir is maah Ramzan jesi azeem ul shan nemat se sarfaraz farmaya. Mah e Ramzan Mubarak ke faizan ke kya kehna. Is ki to har ghari nemat bhari hoti hai. Is mahine mai ajr-o-sawab bohot barh jata hai. Nafil ka sawab farz ke barabar aur farz ka sawab 70 guna kardia jata hai. Bal ke is mahine mai to roza dar ka sona bhi ibadat mai shumar kia jata hai. Arsh uthane wale farishte roza daaro ki dua par aameen kehte hain aur ek riwayat ke mutabiq
“Ramzan Shareef ke roza dar ke liye machliyan iftar tak duae maghfirat karti hai.”
information about ramzan in urdu