Ramzan Shareef Mai Ummat Ke Liye 5 Khususi Inamat

Ramzan Shareef Mai Ummat Ke Liye 5 Khususi Inamat 1

Ramzan Shareef Mai Ummat Ke Liye 5 Khususi Inamat

Ramzan Musalmano ke liye Allah Pak ki taraf se ek aisa tohfa hai jis mai wo apne Rab ko har tarha se razi kar sakta hai aur uski naimaton se nawaza jata hai.

 

ramadanramzan

ramadan islamic month

ramzan ka mahina
ramzan ke fazail o barkaat

Ramadan ke mahine mai Allah ki taraf se fazail o barkat:

Hazrat Abu Huraira R.A se riwayat hai ke Aanhazrat Peace Be Upon Him ne farmaya ke Ramzan Shareef ke Mutalliq meri ummat ko khas tor par paanch cheezen di gai hain jo pehli ummaton ko nahi mili.

1 – Rozadar ke mun ki badbu (jo bhook ki waja se paida hoti hai Allah Pak ke nazdeek mashk se zyada pasandeeda hai.

2 – In ke liye daria ki machliyan tak dua e maghfirat karti hain, aur iftar ke waqt tak karti rehti hain.

3 – Jannat har roz in ke liye sajai jati hai phir haq ta’ala shana farmate hain ke qareeb hai ke mere bande (dunia ki) mushaqqaten apne ooper se phenk kar teri taraf aaein.

4 – Is maah e mubarak mai sar kash shyateen qaid kardiye jate hain ke wo ramzan mai in buraiyon ki taraf nahi pohonch sakte jin ki taraf ghair ramzan mai pohonch sakte hain ( yani ramzan mai shyateen qaid hone ki bina par roza daron ko gunahon par nahi ubhar sakte, lekin insan ka nafs gunah karane mai shyateen se kam nahi hai aur gunahon ka chaska bhi gunahon ki patri par chalata rehta hai taaham phir bhi gunahon ki kami aur ibadat ki kasrat ka har shaks mushahida karta hai.

5 – Ramzan ki Akhri raat mai roza daron ke liye maghfirat ki jati hai. Sahaba R.A ne garz kia ye shab e maghfirat shab qadar hai? Farmaya nahi bal ke dastoor ye hai ke mazdoor ko kam khatam hone ke waqt mazdoori dedi jati hai.

>> Ramzan Mubarak ki fazilat aur ehmiyat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *