Ramzan Shareef mai Ummat par 5 Khusoosi Inamat
Ramzan Allah ka mahina hai aur ye mahina islami maheeno mai sab se afzal hai.
5 Gifts of Ramadan to Ummat of Muhammad Peace Be Upon Him:
Hazrat Abu Hurairah R.A se riwayat hai kay Aanhazrat Peace Be Upon Him ne farmaya kay Ramzan Shareef ke mutaliq meri ummat ko khaas tor par 5 cheezen di gai hain jo pehli ummaton ko nahi mili.
1 – Rozadar ke moo ki badboo Allah Ta’aala ke nazdeek mashk se zyada pasandeeda hai.
2 – In ke liye darya ki machliyan tak dua e maghfirat karti hain aur iftar ke waqt tak karti rehti hai.
3 – Jannat har roz in ke liye sajai jati hai, phir haq ta’aala shaana farmate hain kay mere bande (dunia ki) mushaqaten apne ooper se phenk kar teri taraf aaen.
4 – Is maah mubarak mai sarkish shyateen qaid kardiye jate hain kay wo Ramzan mai in buraiyon ki taraf nahi pohonch sakte hain. (Yani Ramzan mai shyateen qaid hone ki bina par roza daron ko gunahon par nahi ubhaar sakte, lekin insan ka nafs gunah karane mai shyateen se kam nahi hai aur gunahon kaa chaska bhi gunahon ki peri par chalata rehta hai taaham phir bhi gunahon ki kami aur ibadat ki kasrat ka har shakhs mushahida karta hai.
5 – Ramzan ki akhri raat mai roza daron ke liye maghfirat ki jati hai. Sahaba ne arz kia ke kya ye shab maghfirat shab e qadr hai? Farmaya nahi balke dastoor ye hai kay mazdoor ko kam khatam hone ke waqt mazdoori de di jati hai.
ramzan ke fazilat
importance of ramadan
Next Article: Bila waja Ramadan mai Roza Chorne ka Nuqsan