Urdutotke provides you tips for colour brightness in Urdu and Roman Hindi.
Tips for colour brightness:
- Limo ka ras 1 tola,roghan e zetoon 2 tola aur roghan-e-badam 2 tola,3eno amezon ko raat ko sote waqt chehre aur baazoon par malen kuch dino men rangat nikhar jaey gi.
- Shehed aur khoobani ka gooda chehre par lagane se rangat nikharti he aur ruaan bhi saaf ho jata he.
- Raat ko sone se pehle asli shehed aur balai ham wazan mila kar chehre par lagaen is se chehre ke daagh dhabbe aur daane bhi halke ho jate hen aur rangat bhi nikharti he.
- Limo aur haldi ka pest bana kar chehre par lagane se rangat nikharti he.10 mint ke baad halke hathon se massage kar ke chehre se isko utar len.aur saaf pani se isko dho len.