Roza Dhaal Hai By Muhammad P.B.U.H
Roza Rakhne ki Fazeelat:
Abdullah Bin Muslima, Maalik, Abu Alzinaad, Airaj, Hazrat Abu Hurairah R.A se riwayat hai ke inhon ne bayan kia ke Hazrat Muhammad Peace Be Upon Him ne farmaya ke roza dhaal hai, is liye na to buri baat karen aur na to jahalat ki baat karen agar koi shakhs is se jhagra kare ya gali galoch kare to keh de mai roza dar hoon, do baar keh den. Qasam hai us zaat ki jis ke qabze mai meri jin hai ke mun ki boo Allah ke nazdeek mashk ki khushbu se behter hai wo khana peena aur apni marghoob cheezon ko rozon ki khatir chor deta hai aur mai is ka badla deta hoon aur naiki 10 guna milti hai. (Sahi Bukhari)