Roza Rakhne Ke Faide in Urdu

روزہ رکھنے کے فائدے

Urdutotke provides you benefits of fast in Urdu and Roman Hindi.

Roza Rakhne Ke Faide in Urdu

Roza Rakhne Ke Faide:

Roza ALLAH PAAK ki taraf hamare liye rohani aur jismani tohfa he.roza rakhne se na sirf rohani safai hoti he balke jismani repairing bhi hoti he.roza hamare liye jism ki zakaat he.

Roza rakhne ka sab se pehle jo faida hota he wo jigar ka he.roza rakhne se jigar ki safai hoti he.jigar ko roze rakhne se jo 1 mahine ke liye rest milta he us se jism ki bimariyan nikal jati hen aur jigar 1 saal ke liye tarotaza ho jata he.

Roza rakhne se cholestrol kam hota he.jiski wajah se na sirf dil ki rohani ssafai hoti he balke jismani safai bhi hoti he.sugar ke marizon ke lablabe ko taqat milti he aur sugar level normal hona shuru ho jata he.bhook barhti he.dimaghi bimariyan door hoti hen.nizam-e-inhezam behtar hota he.

Roza rakhne ke be shumar fawaid hen.roza rakhne se ALLAH PAAK ko kiya faida.roza rakhne ke faide sirf hamen hi milte hen.is se sirf hamen akhrat men hi nahi balke dunya men bhi boht faide hote he.

China ke ek doctor ke mutabiq  saal men 1 mahina bhooke rehne se hamare jism men peda hone wale cancer ke jaraseem mar jate hen.ab aap sochen ALLAH PAAK ne roze men hamare liye kya kya aur kese kese faide rakhe hen.

Hamare roze se ALLAH PAAK ko kya matlab ALLAH PAAK ne ham pe jo kuch bhi farz kiya he un sab men sirf hamara hi faida he chahe wo jismani ho ya rohani dunyavi ho ya akhrat ka.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *