Rozay ke Masail ka Hal – Ramadan Kareem
Ramzan mai be shumar masail hote hain jis ke baare mai har insan ko maloom nahi hota.
Ramzan mai sehri ke baghair roza rakhna:
Sehri kha kar roza rakhna aur sehri mai takhair karna aur iftari mai jaldi karna musteheb hai. Baghair sehri ke roza to hojata hai lekin bila azar sehri chorna khilafat sunnat hai. (Mustafad, Fatwa Darul Uloom)
Huqqa se Iftar Karna:
Huqqa Beedi, Paan waghera se roza iftar karega to iftar sahi hojata hai lekin behter nahi hai. (Fatwa Darul Uloom)