Rozay mai Kaan aur Naak mai dawa dalna
Ramadan ke Rozay ke Masail:
Rozay Ki Halat Mai Kaan Mai Tel Dalna:
Rozay ki halat mai kaan mai tel aur dawa dalne se roza faasid hojata hai lekin pani pohonchne se roza fasid nahi hota. (Darmukhtar)
Rozay Ki Halat Mai Naak Mai Dawa Dalna:
Naak mai dawa dalne aur pani pohonchane se roza toot jata hai aur isi tarha halaq mai phonchne se bhi roza fasid hojata hai. Lihaza ghusal janabat mai gurgura aur istanshaq mai mubaliga nahi karna chahiye. (Fatwa Raheemia)