Urdutotke provides you homemade ubtan for tawnies colour in Urdu and Roman Hindi.
Homemade ubtan for tawnies colour:
- Chane ki daal ko bhigo kar pees len aur doodh ke sth mila kar lep bana len.aur 15 se 20 mint tak chehre par lagaen.phir taza pani se dho len.rozana ise chehre par lagaen kuch dino men chehra saaf suthra ho jaey ga.
- Badam,haldi aur chawal ko pees kar doodh ke sath mask tayyar kar len.ab ye mask chehre par lagaen aur 20 mint ke baad dho len kuch dino men farq mehsoos hoga.
- Chambeli ki kali = 1 cup,besan = 1 cup,haldi pisi hui = 2 tab sp,daarcheeni pisi hui = 1 tea sp.in sab ajza ko mila len.1 piyale men is mixture ka 1 barha chammach len aur is men chand qatre limo aur pani mila kar istemal karen.kuch dino ke istemal ke baad aap ka rang saaf ho jaey ga.