Sardiyon men Fitness Barqarar Rakhne ka Tarika in Urdu

Urdutotke provides you health care in winter in Urdu and Roman Hindi.

sardiyon men fitness barqarar rakhne ka tarika in urdu
Manage your health in winter
  1. Sardiyon men fitness ko barqarar rakhna ya waight loose karna thorha mushkil kaam lagta he.qk garmiyon ke muqable men log sardiyon men zyada active nahi reh paate.aur isi alkasi men garam bistaron men zyada rehna.lete lete snacks khana aur tv dekhte dekhte so jana.
  2. Raat to raat din ka bhi zyada hissa blanket men so kar guzarna.wese hi sardiyon ke din chote hote hen.lekin kya aap jante hen ke ye sab cheezen kisi barhe atteck ka ba’as ban sakte hen.
  3. Agar aap sardiyon men bhi apne aap ko zyada se zyada kaam men masroof rakhen ge to aapko sardi ka ehsas nahi hoga aur body ko hararat bhi milti rahe gi.aur pyas bhi garmiyon ki tarah lage gi.
  4. Sardiyon men bhi body ko pani ki utni hi zarurat hoti he jitni ke garmiyon men.agar aapke paas koi kaam nahi he to aap walk karen ya cycling karen.
  5. Dryfruits khaeyn dryfruits body ka wazan nahi barhata balke boht si bimariyon ko door karta he aur body ko garam karta he.qehva piyen lekin jo bhi qehva piyen wo khane ke baad piyen nehar moo nahi.sabziyon par zor har mosam men den.na ke sirf garmiyon men.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *