Shab e Barat ke roze ki fazeelat 15 shaban
Shab e barat ke roze ki fazeelat aur 15 shaban ke roze ki haqeeqat ap is page parh jan sakenge.
15 shaban ka roza Aalime deen ki nazron mai:
Ek masla shab e barat ke baad wale din yani 15 shaban ke roze ka hai is ko bhi samajh lena chahiye wo ye ke saare zikar ye hadees mai is roze ke baare mai sirf ek riwayat mai hai ke shab e barat ke baad wale din roza rakho. Lekin ye riwayat zaeef hai lehaza ulma ke nazdeek durust nahi. Albatta poore shaban ke mahine mai roza rakhne ki fazeelat sabit hai.
Yani 1 shaban se 27 shaban ko roza rakhne ki fazeelat sabit hai. Lekin 28 aur 29 shabab ko Huzoor Peace Be Upon Him ne roza rakhne se mana farmaya hai ke Ramzan se ek do roz pehle roza mat rakho. Ta ke Ramzan ke rozon ke insan nishat ke saath tayar rahe.Lekin 1 shaban tak har din roza rakhne mai fazeelat hai.
Doosre ye ke 15 din tareekh ayam bez mai se bhi hai aur Huzoor Peace Be Upon Him aksar har maah ke ayam bez mai 3 din roza rakha karte hain yani 13, 14 aur 15 tareekh ko lihaza agar koi shaks in do waja se 15 tareekh ka roza rakhe, ek is waja se ke ye shaban ka din hai doosre is waja se 15 tareekh ka roza rakhe, ek is waja se ke ye shaban ka din hai doosre is waja se ke ye 15 tareekh ayyam bez mai daakhil hai agar is niyat se roza rakh le to Insha Allah mojib ajar hoga. Lekin khas 15 tareekh ki khususiyat ke lihaz se is roze ko sunnat qarar dena baaz ulmaa ke nazdeeq durust nahi. Isi waja se aksar fiqhaa e karam ne jahan musteheb qarar dena baaz ulmaa ke nazdeeq durust nahi. Isi waja se aksar fiqhaa e karam ne jahan musteheb rozon ka zikar kia wahan moharram ki 10 tareekh ke roze ka zikar kia hai yome arfa ke roze ka zikar kia hai lekin 15 shaban ke roze ka alaihda se farmaya.
15 shaban ke roze ki haqeeqat