Shab E Barat Ki Haqeeqat – Nawafil Ghar Par Ada Karen
Nawafil Ghar pe Ada Karen:
Mai ne suna hai ke baaz log is raat mai aur shab e qadar mai lafzon ki jamat karte hain, pehle sirf sheena ba jamat hota tha, Ab sunah yaka salat ul tasbeeh ki bhi jamat hone lagi hai, Ye Salat ul Tasbeeh ki jamat kisi tarha bhi sabit nahi, najaiz hai farz namaz ke ilawa aur in namazon ke ilawa jo huzoor Aqdas Peace Be Upon Him se ba jamat ada karna sabit hain, maslan! Taraweeh, kasoof aur istasqa ki namaz in ke ilawa har namaz ke baare mai afzal ye hai ke namaz apne ghar mai ada kare, sirf farz namaz ki khususiat ye hai ke is ke andar sirf afzal nahi, bal ke sunnat moqada qareeb bawajib hai ke is ko masjid mai jakar jamat se ada kare.Lekin sunnat aur nafil mai asal qaida ye hai ke insan apne ghar mai ada kare. Lekin jab faqha ne ye dekha ke log ghar jakar baaz auqat sunnaton ko tark kardete hain.Is liye inhon ne ye bhi farmadia ke agar sunnaten chootne ka khauf ho to masjid mai parh lia karen. Ta ke chhoot na jaen, warna asal qaida yahi hai ke ghar mai jakar ada karen aur nafil ke baare mai tamam faqha ka is par ijma hai ke nafil namaz mai afzal ye hai ke apne ghar ada kare, aur nafilon ki jamat hanfia ke nazdeek makroo tehreemi aur najaiz hai aur agar jamat se nafil parh liye to sawab to kya milega. Ulta gunah milega.
Shab E Meraj ki haqeeqat