Shab e Qadar ki Fazilat or Ehmiyat
Lailat ul Qadar ki Raat ki Fazilat aur Ahmiat:
Aur tu kya samjha shab e qadar kya hai. Shab e qadar ek 1000 mahino se behter hai. Yani is raat ki ibadat 1000 mahino ki ibadat se behter hai. (Soorah Qadar , Sipara 30)
Hadees Nabwi Peace Be Upon Him: Aaqae do jahan Muhammad Peace Be Upon Him ne farmaya kay shab qadar ko Ramzan ke akhri ashre mai talash karo.
Pyare Dosto Quran ke mutabiq 1000 mahine taqreeban 83 saal 4 mahine bante hain. Ap peace be upon him kaa ummati hone ki waja se hum par Allah ka ye ehsan azeem hai ke is ne umer ke mukhtasar hisse mai hamen zyada se zyada sawab hasil karne ki sahulat ata farmai hai hum sab musalmano ko chahiye ke Allah ki is azeem raat se faida uthaen aur apne gunahon ki bakhshish karwalen ho sakta hai ke ye hamara akhri ramzan ho.