Urdutotke provides you special Chatpati Sev Puri cooking recipe in Urdu and Roman Hindi. Urdu Totke is famous for cooking recipes in urdu and hindi. You can also check other recipes at our blog.
Ingredients:
Sev puri ki puri ke liye;
Ata = 1 cup
Oil/ghee = 1 tab sp
Namak = 1 chutki
Oil = fry ke liye
Pani = hasb-e- zarurat
Sev puri ke liye:
Uble hue aloo = 1 adad darmiyana
Hara dhanya = barik kata hua 2 tab sp
Pyaz chop ki hui = 2 tab sp
Tamatar chop kiye hue = 2 tab sp
Hari chutney = 3 tab sp
Imli aur khajoor ki meethi chutney = 3 tab sp
Chaat masala = 1 tea sp
Daal sev = barik wali
Method:
Sev puri ki puri banane ke liye ate men namak aur ghee mila kar pani daal kar sakht ata goond len aur roti ki tarah bel kar choti choti gol gol puri ki shakal men kaat len.aur in puriyon men kante se surakh kar len aur oil garam kar ke is men tal len.ab in puriyon ko ek plat men rakh kar mash kiye hue aloo rakhen aur chaat masala daalen uske opar se chop ki hui payaz daalen aur chop kiye hue tamatar daalen.barik kata hua hara dhanya daalen.opar se hari chutney aur laal chutney daalen aur opar se daal sev daalen aur hara dhanya chirhak kar servE karen.