Urdutotke provides you recipe of special matka gosht in Urdu and Roman Hindi.
Ingredients:
- Mutton/beef/chicken – 1/2 kg
- Pisa hua adrak lehsan – 2 tea sp
- Pyaz – 1 adad
- Dahi – 1 pao
- Surkh mirch powder – 2 tea sp
- Haldi – 1/2 tea sp
- Pisa hua dhanya – 2 tea sp
- Garam masala powder – 1 tea sp
- Kala zeera – 1 tea sp
- Tez paat – 2 adad
- Ata bhuna hua – 2 tab sp
- Cooking oil – 1 cup
- Namak – hasb-e-zarurat
- Adrak,hara dhanya,hari mirchen kati huin – garnish ke liye
Method;
Mitti ki handi men oil garam kar ke pyaz ko golden brown karen aur is men adrak lehsan ka pest shammil kar len.ab gosht daal kar itna fry karen ke gosht ka rang safed ho jaey.ab is gosht men garam masala,kala zeera aur ate ke elawa tamam cheezen daal kar aur pani daal kar itna pakaen ke gosht gal jaey.jab gosht gal jaey to ise achi tarah bhoon len.ab 1 cup pani daal kar ubaal ane tak pakaen jab ubaal ajaey to is men ate ko thorhe se pani men daal kar mix karen aur salen men daal den.jab gosht pakne lage to is men kala zeera,garam masala,kati hui adrak,hari mirchen aur hara dhanya daal kar 5 mint ke liye dam par rakh den.special matka gosht tayyar he.