Urdutotke provides you eyes benefits of surma in Urdu and Roman Hindi.
SURMA LAGANA MERE PYARE NABI KI SUNNATON MEN SE EK HE:
Surme ka istemal sadyon se hota chala aya he.surme ko lagane se aaj tak sirf faida hi pohncha he.kabhi nuqsan nahi hua he.surma afadiyat aur mayar men har lehaz se sehat mand ankhon ki zamanat he.
Surma lagane se ankhon ka mel kuchel nikal jata he aur ankhon ki safai ho jati he.surma ankhon ko saaf karne ke sath sath ankhon ki binai bhi tez karta he.surma boht si cheezon se banaya jata he.islam men jahan surma lagane ki ahemiyat bayan ki gai he wahan surma lagane ke boht se faide bhi bayan kiye gaey hen.
Boht si AHADEES men bhi surme ka zikar ata he.3 cheezen ankhon ki binai tez karne men izafa karte hen.1 surma-e-asmad,2 sabzay ko dekhna,3 khoobsurat chehron ka deedar.surma rozana subha sham 3,3 silai lagana chahye.
Surma sar ke baalon ke liye boht mufeed he.qk surma lagane se baal safed nahi hote aur naey baal ugne lagte hen.lagatar surma lagane se safed baal bhi kaale ho jate hen.yahan tak ke surma gangay pan ka behetreen elaj he.