Tarbooz ke Faide aur Nuksanat

Tarbooz ke Faide aur Nuksanat
54 / 100

Urdutotke provides you benefits and losses of watermelon in Urdu and Roman Hindi.

tarbooz kay faide aur nuqsanTarbooz ke Faide aur Nuksanat

Tarbooz ka shumar bhi un phalon men hota he jo ke garmiyon men hamare liye ALLAH PAAK ki taraf se qeemti tohfa he.tarbooz bhi besh baha fawaid ka hamil he.

Tarbooz ka istemal garmi ki shiddat ko kam karta he.tarbooz zaiqe ke aitbar se shereen aur mizaj sard tar hota he.isi liye zaeef aur sard mizaj logon ko tarbooz ka istemal kam se kam karna chahye.

“EK HADEES SHAREEF MEN HE KE;HAMARE PYARE HUZOOR S.A.W.W TARBOOZ KO KHAJOOR KE SATH  KHAYA KARTE THE AUR FARMATE THE KE HAM IS KHAJOOR KI GARMI KO TARBOOZ KI THANDAK KE ZARYE AUR TARBOOZ KI THANDAK KO KHAJOOR KI GARMI KE ZARYE KHATAM KAR DETE HEN”.

Tarbooz ke faide:

Tarbooz body ki hararat aur garmi ko kam karta he.tarbooz men pani ki miqdar zyada hoti he isi liye ye gurde aur masan ki pathri ke ikhraj men boht moassar he.tarbooz mede ke liye be had faide mand he.tarbooz ko khali pet khane ke boht faide hen.

Tarbooz ke beej se chehre ki safai ki jaey to boht faida hota he.tarbooz ke chilke ka lep peshani par kiya jaey to ankhon ke amraz men boht faida hota he.tarbooz ko cheeni ke sath istemal karna boht faide mand he.

Tarbooz men namak ya kala namak mila kar bhi istemal kiya jata he.tarbooz khane se mareezon ke dil ka bojh kam hota he.tarbooz ke istemal se aanton ki sakhti men kami ati he.aur sharyano ki lachak bhi qaim rehti he.

Tarbooz ke nuksanat:

Tarbooz khane ke foran baad istemal nahi karna chahye.qk khane ke foran baad tarbooz khane se heza ki shikayat ho sakti he.

Khas kar chawalon ke sath istemal karne se.maslan chawal khane ke foran baad ya phir chawal khane se pehle boht nuksan ho sakta he.

Tarbooz khana khane se kam az kam 2 ghante pehle ya phir 2 ghante ke baad khana chahye.qk tarbooz khane ke foran baad khane se pet ka dard,qolanj ya takhma ka ahtemal he.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *