Ummat Ke Liye Ramzan Mai Shab e Qadar ka Tohfa
Ramzan mai Shab e Qadar ki Ahmiyat aur Fazilat:
Ek riwayat mai hai kay Nabi Kareem Peace Be Upon Him ne bani israel ke 4 hazraat ka zikar farmaya hai.
- Hazrat Ayub A.S
- Hazrat Zikriya A.S
- Hazrat Huzqail A.S
- Hazrat Zikiria A.S
ke ye sab 80 80 baras tak Allah ki ibadat mai mashgool rahe aur pal jhapakne ke barabar bhi Allah ki na farmani nahi ki. Is par Sahaba R.A ko herat hui, phir Hazrat Jibrael A.S hazir khidmat hue aur Soorah Qadr sunai, is ke ilawa aur bhi riwayat hain. Is qism ke ikhtelafat riwayat ki aksar waja ye hoti hai ke ek hi zamana mai jab mukhtalif waqiyat ke baad koi ayat nazil hoti hai to har waqia ki taraf nisbat ho sakti hai. Beher hal ayat ke naazil hone ka sabab jo kuch hua ho, Lekin ummat Muhammadia ke liye ye Allah jal shana ka bohot hi bara inaam hai, Ye raat bhi Allah ka atia hai aur is mai amal bhi usi ki toufeeq se meyser hota hai.
Fazail Ramzan Mubarak 35 wamuzahir haq jadeed 289 jild 2