watermelon(tarbooz) health benefits in urdu
watermelon benefits
watermelon nutrition
watermelon health benefits
watermelon juice benefits
nutritive value of watermelon
watermelon water benefits.
watermelon garmiyon ke mosam men hamare liye qudrat ki taraf se 1 anmol tohfa he.watermelon ki taseer thandi hoti he aur zaiqe men meetha hota he.watermelon sehat ke sath sath rooh ko bhi taza rakhne ke liye mufeed he.watermelon ke beshumar fawaid hen.
mahireen ki janib se ki gai tehqeeq ke mutabiq watermelon ke beej dil ke amraz,ziyabatees aur jild ke liye boht mufeed he.
watermelon ke beej men shamil iron,potasium aur vitamin baalon ko mazboot banata he.aur chehre par mojud daagh dhabbe door karne men madad deta he.
watermelon kam se kam 6% vitamin a ki miqdar apne andar rakhta he.
watermelon ka pani 1 glass aur 1 limo ka ras mila kar pine se khoon patla hota he.aur blood pressure bhi kam ho jata he.
pyaas ki zyadti aur becheni se nijat ke liye watermelon ka pani,1 limu ka ras aur 25 gram sirka mila kar istemal karen.is se shadeed pyas se nijat mil jati he.
garmi ke torh ke liye
watermelon ka gooda kali mirch aur kala namak hasbe zarurat safoof mila kar istemal karen garmi se nijat mil jaeygi.