Dimag Ki Taqat Ka Nuskha
Today people are suffering from a lot of stress due to hard work, relationship and many more. We bring you the best tip for getting out from stress.
Gharelu jhagron ka bacho kay dimagh par bohot bura asar parta hai. Lihaza is se jitna mumkin ho bacha jae.Is asar ki misaal aise hai jese foji kay dimagh jang kay doran asar hota hai.
Cheezon ka bhoola jana insani dimagh kay liye acha hota hai kiun kay ghair zaruri malumat se dimagh par bura asar parta hai.
Khane se parhez se dimagh khud ko hi khana shuru kardeta hai. Is liye khana time par khana chahiye.
Tention aur tanao waqt se pehle hi apke dimagh ki umer kam aur kamzor karta hai
Agar dimagh ko 10 minute tak oxygen na mile to wo mukammal tor par maflooj hojata hai.
chocolate ki khushbu dimagh ki theta lehron mai izafa karti hai aur is se narmi paida hoti hai.
Alcohol kay istemal se insan koi cheez bhoolta nahi hai bal kay kuch time kay liye wo behek jata hai.
Neend ki kami kay baais insani dimagh par bohot gehra asar parta hai jis kay natije mai faisla karne ki silahiyat kam hojati hai aur radde amal sust hojata hai